Karva Chauth ka vrat todne ke baad jo khana khaya jaataa thha usmey cheuan aur phara zaroor shaamil hota thha. Aur yeh to bhaiya dooj pe bhi banaya jaata tha... Zyadatar kisi khaas mauke pe hi banta hai cheuan phaara..
Cheuan sirf chaawal ke aate se banta hai aur phaara chane ki daal se. Kewal cheuan bahaut kam logon ko pasand aata hai, as it is quite bland. Sudha ko bhi cheuan phaara to pasand aata hai par sirf cheuan nahi!
Hum 10 ya 12 saal ke the jab humne peheli baari koshish ki thi cheuan-phaara banane ki..ghar par aksar humari maa banaya karti thi.
Ingredients: ..naap tol batana bada mushkil lagta hai hume!
Phaara :
- Chana daal - 1 katori (level)
- Chaawal ka atta/ rice flour - 3/4 katori (level)
- Heeng/ asafoetida - a pinch
- Jeera/ cumin seeds - 1/2 tsp
- Lehsun/ garlic - 6 cloves, hari mirch/ green chilli - 2-3,Salt - to taste
- Haldi - 1/4 tsp
Process :
Soak the daal 4-5 hours in advance.
Grind it into a rough paste with lehsun aur hari mirch
Add all the masalas into the daal aur mila lo
Make a dough of the chaawal atta, preferably in slightly warm water and chhoti puri ke tarah bel lo
Fold the puri into half, fill the daal and close it partly (not completely as you would do in gujiya)
Place a chalni (a utensil with holes) on a patila of boiling water. Grease it with ghee and place the dollops on it to be steamed for about 15-20 minutes.
Beech mein unko paltana zaroor.
Bas, jab acche se woh steam ho jaaye, to thodi si hari chutney lo aur kha lo!
Cheuan:
Make small noodle like strings (3-4 inches long) of the rice flour dough and steam them
along with phara.
Bapauhri
Bapauhri to kabhi bhi ban jaati hai. Subah nashte mein ya shaam ke chai ke saath bana lo ya kabhi bhi bhook lage to kha lo..aaj kal koi bhi tala hua khana nahi pasand karta, hence both cheuan-phaara and bapauhri are good options to snack on.
Bapahuri is made exactly like phaara. Farak bas itna hai ki usmein aap moong ya masoor ki daal use karte ho. Daal ko pisne ke baad , make small dollops and steam them. The only difference being that you dont use chaawal ka atta here.
And once they are done, have it with dhaniya ki chutney..tastes awesome!