Thursday 14 June 2012

Parwal ka banao bharta!


Bade asaani se aur kam samay mein ban jaata hai parwal bharta.Chahe roti, ya daal-chaawal ya fir khichdi! sabke saath accha hi lagta hai khane ko.

Ingredients:

Parwal - thode bade size ke: 250 gm
Kaccha Sarson ka tel/ Mustard Oil: 1 teaspoon
Lehsun/ garlic- 3 cloves
Hari Mirch/ Green chillies- one no
Lal Mirch/ Red chilli powder - preferably the masala of stuffed red chilli pickle. But we can also use half teaspoon red chilli powder and half teaspoon of amchoor.
Neembu ka ras/ lemon juice - half a lemon
Namak/Salt - to taste

Process:

-Parwal ko ched lo(make holes) and roast it in the fire directly. Pehele zamane mein to chulhe ke aag mein hi bhoona karte the, but now a days you can simply roast it in the microwave. Besides, gas bhi ganda nahi hoga!

(If you use the microwave, follow up with roasting on the direct flame, to get the smoky smell! )










-Wash the parwals and dono haathon ke beech mein dabake, paani nichod do












-Cut into small pieces and mash them further- masal do


-Add salt, maustard oil, green chillies and garlic cut into very small pieces, neembu ka ras and zara sa laal mirch bhoon ke  
-Acche se mila lo











Aur ho gaya tayyar, aapka parwal ka bharta! hai na aasan?

Ek aur baat, agar bahaut bade quantity mein banana ho, toh parwal mein ched karke, pehele paani mein ubaal lo aur phir aag par bhoon lo. Then, waise hi, chota chota kaat ke, masal do.


3 comments:

  1. Wah naani! Itna waqt guzar gaya hai, parwal khaye. Bachche to jante bhi nahi ki yeh kya hota hai.

    ReplyDelete
  2. dhanyawaad! jab aaoge to parwal zaroor khilaungi!

    ReplyDelete
  3. Yeh to meri favourite hai!!!

    ReplyDelete